Kanz e Aza

As Sham As Sham

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

abid se jab watan mein kisi ne kiya kalaam

guzre kalak zyada kahan tumpe ya imam

abid ne teen baar kaha shaam shaam shaam


as-sham as-sham as-sham kaha

bazaar mein jaana yaad raha


pabande rasan beparda haram

bazaar mein aayi maa bandi

un galiyon mein bazaaron mein

abid pe qayamat kya guzri

pathar dil un bedardo ka

bazaar sajana yaad raha

as-sham as-sham...


jab yaad wo manzar aata tha

sajjad ka dil khoon rota tha

aankhon se lahoo barsaata tha

ek dard jigar mein hota tha

bemaar tadapta tha keh kar

ghurbat ka zamana yaad raha

as-sham as-sham...


naizo pe shaheedo ke sar thay

aur ahle haram be chadar thay

lachaar haram bazaaron mein

bas ahle sitam ki zad par thay

pardes mein khoon rokar mujhko

ye zakhm uthana yaad raha

as-sham as-sham...


hai ahle shaam tamashayi

hum par pathar barsate thay

bazaaron se darbaron tak

hum sar ko jhuka kar jaate thay

ghairat ki sabab un raahon mein

sar apna jhukana yaad raha

as-sham as-sham...


khaati thi tamache zaalim ke

masoom sakina raahon mein

dil ab bhi laraz jaata hai mera

wo dard tha uski aankhon mein

meri mazloom sakina ka

ghazi ko bulana yaad raha

as-sham as-sham...


shabbir ki khwahar ko zaalim

baaghi ki behan jab kehte thay

dil khoon ke aansu rota tha

jis waqt ye taane sehte thay

wo meri phupi ka is gham se

ashkon ka bahana yaad raha

as-sham as-sham...


abbas ki khwahar be-chadar

ye baat to khoon rulaati thi

zainab ke khule sar par jab bhi

ghazi ki nazar pad jaati thi

naize ki ani se ghazi ka

sar khaak pe aana yaad raha

as-sham as-sham...


sajjad ka ye nauha likh kar

dil rone laga mera safdar

namoose nabi bazaaron se

kis tarha gayi hogi rokar

jis gham ke sabab abid ko sada

sar apna jhukana yaad raha

as-sham as-sham...