Kanz e Aza

Ashkon se Maine

A noha for Darbaar e Shaam, written by Viqar Nagri. Lyrics in Roman Urdu.

ashkon se maine shaam ka darbar likh diya

phir khoone dil abid e bemaar likh diya


wo naam us ka shaamil e fauje yazeed tha

qismat ne hurr ko sheh ka tarafdaar likh diya

ashkon se maine...


zainab ki bekasi ke kayi baab khul gaye

likhne ko maine kufe ka bazaar likh diya

ashkon se maine...


bemaar e karbala ke masayab na likh saka

kaagaz pe maine tauq e girabaar lik diya

ashkon se maine...


tafseel e bekasi e sakina na likh saka

zindan e shaam ke dar o dewaar likh diya

ashkon se maine...


abid chale to paaon ke chaalon ne khaak par

bekas ghareeb e khaafela salaar likh diya

ashkon se maine...


likhna to tha ghulam hoo qambar ay viqar

khud ko ghulam e hyder e karrar likh diya

ashkon se maine...