Kanz e Aza

Ay Shaam ke Musafir

A noha for Darbaar e Shaam, written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

ay shaam ke musafir manzil teri kahan hai

zanjeer hai badan par zakhmon se khoon rawan hai


be parda aaj zainab darbar jaa rahi hai

sajjad par khudaya ye kaisa imtehan hai

ay shaam ke musafir...


ay shehr e bewafa ye hai inqilaab kaisa

kufe ki shaahzadi kufe may be-amaan hai

ay shaam ke musafir...


sad haif ke musalman baithe hai kursiyon par

jakda hua rasan may bemaar saarban hai

ay shaam ke musafir...


hum gir gaye zameen par amma bachao hum ko

oonton se girne waale bachon ki ye fughan hai

ay shaam ke musafir...


mai shaam ki musafat tay kar ke aa gaya hoo

rauze pe mustafa ke sajjad ka bayaan hai

ay shaam ke musafir...


zainab ki be-ridayi pe chup hai kyun zamana

is waqt kalmago ki insaniyat kahan hai

ay shaam ke musafir...


chalta rahega yun hi ye khaafila azaa ka

hargiz na chup sakegi ye ran ki dastan hai

ay shaam ke musafir...


hai ye dua muhib ki is par karam ho maalik

aulaad e mustafa ka ye mir nauhakhwan hai

ay shaam ke musafir...