Kanz e Aza

Azadari Hai

A noha written by Mohib Fazli (2026). Lyrics in Roman Urdu.

binte zehra ki tamanna ye azadari hai

al ajal kehte raho waqte madad gaari hai


chauda sadiyon ki ye tareekh gawahi degi

hai azadari ki zarbat jo badi kaari hai

binte zehra ki tamanna...


ruk na paaye ye safar nauhagaron seena-zanon

ye aza nusrat e shabbir ki tayyari hai

binte zehra ki tamanna...


aandhiyon mein bhi diya gham ka jalaye rakhna

zikre shabbir se izhaan mein bedaari hai

binte zehra ki tamanna...


ab bhi shabbir akele hai sar e dashte bala

ab bhi bemaar ki aankhon se lahoo jaari hai

binte zehra ki tamanna...


kasrate fauj pe nazaan tha yazeedi lashkar

fauj e nau lakh bahattar se magar haari hai

binte zehra ki tamanna...


zulm aur jabr ne chaaha ke haqeeqat chup jaaye

ek qaidi ki magar aaj bhi salaari hai

binte zehra ki tamanna...


ay mohib karbobala deen ka sarmaya hai

karbala ishq o aqeede ki shajar kaari hai

binte zehra ki tamanna...