dashte pur khaar may fizza ne kaha ye ro kar
haye abbas nahi aaj abbas nahi
sar pe aulaad e payambar ke nahi hai chadar
haye abbas nahi aaj abbas nahi
pyaas masoom sakina ki bujhado abbas
khaafila jaata hai maqtal se dua de abbas
jalte qaimon may haram ki ye sada thi lab par
haye abbas nahi aaj abbas nahi
dashte pur khaar may...
jhidkiyan shimr ki sun kar wo kaha karti hai
mere ammu hai kahan bas ye buka karti hai
sehmi bachi se bhala kaun kahe ye jaa kar
haye abbas nahi aaj abbas nahi
dashte pur khaar may...
bain sun sun ke sakina ke qaza roti hai
khaak udti hai hawa karbobala roti hai
haath may kooza liye baithi hai wo khaak basar
haye abbas nahi aaj abbas nahi
dashte pur khaar may...
hoo ka aalam hai koi monis o ghamkhar nahi
jis se dhaaras thi haram ko wo alamdar nahi
wo qayamat hai ke chinti hai haram ki chadar
haye abbas nahi aaj abbas nahi
dashte pur khaar may...
shimr ne haye sakina ko bhi sone na diya
be-kafan laasha e shabbir pe rone na diya
dasht may aale mohamed hai sitam ki zad par
haye abbas nahi aaj abbas nahi
dashte pur khaar may...
haye zainab pe hai tanhaai andhere hai yahan
jal gaye qaima e athaar haram ki hai fughan
inna lillaah ki awaaz hai sab ke lab par
haye abbas nahi aaj abbas nahi
dashte pur khaar may...
har sitam abid e muztar ko uthana hoga
aisa lagta hai darbaar may jaana hoga
kufa o shaam se hona hai aseeron ka guzar
haye abbas nahi aaj abbas nahi
dashte pur khaar may...
ay mohib rok qalam shor hai matam ka bapa
nauha yazdan se ye sunkar hai bapa shor e buka
har azadaar tadapta hai ye nauha sun kar
haye abbas nahi aaj abbas nahi
dashte pur khaar may...