Kanz e Aza

Haye Abbas Pyase

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rounaq Murshidabadi. Lyrics in Roman Urdu.

haye abbas pyase abbas


pani ki boondh boondh pe qabza tera hai ghazi

nehr e furaat se bhi rishta tera hai ghazi

kitna buland o baala rutba tera hai ghazi

tareekh mein likha hai kissa tera hai ghazi

jhoola tera jhulaya hai asmat ke phool ne

farzand tujhko apna kaha hai butool ne

haye abbas pyase abbas...


zainab ke saath saath chali saari bibiyan

ghazi ne bade pyaar se dekhi sawariyan

aah o buka mein doob gayi yun nawasiyan

zainab ko ab satane lagi aur udasiyan

maula ne apne haath utha ke dua ye ki

allah tumhare deen ko bakshi hai zindagi

haye abbas pyase abbas...


mashk o alam ko leke chale shaahe naamdaar

aankhon se khoon bahate hai ab shaahe pur waqar

bhai ki laash dekh ke rote hai zaar zaar

chehre se maula lagte hai bechain beqaraar

daudi sakina kehti ke ammu kahan gaye

baba batao jaldi ke ammu jahan gaye

haye abbas pyase abbas...


ek shor karbal mein hua wa musibata

pakde kamar hussain ne zainab se ye kaha

hyder ka sher maara gaya haye ghurbata

dhaaras thi jis se sab ki bandhi ab wo chal basa

laashe pe gir ke bhai se bhai ne ye kaha

tanha mai aaj reh gaya ay mere khuda

haye abbas pyase abbas...


zainab pukari maara gaya bhai naujawan

abbas jis ka naam tha hyder ka tha nishan

kaante pade thay lab pe thi sookhi hui zaban

uryan padi thi laash pe karti rahi fughan

ro ro ke ye kehti thi mera bhai na raha

zaamin mere hijab ka bachon ka aasra

haye abbas pyase abbas...


abbas teri yaad mein roti hai kayenat

matam salaam o soz mein doobi hai kayenat

baatil ka sar jhuka hai dikhaati hai kayenat

aajao ek saff mein bulaati hai kayenat

dekho har ek simt mein dushman khada hai aaj

abbas e bawafa ka faqat aasra hai aaj

haye abbas pyase abbas...


raunaq se zikr sayyed e shohda ka hai ghazab

afzal bhi sun ke rota hai buzar ke saath saath

zehra hai aansuon ka tere karbala sabab

ghamkhwar ghamgusaar hai na koi bhi arab

ye sabr e fatema ka bada bemisaal hai

gham se nidhaal hogaya mohamed ka aal hai

haye abbas pyase abbas...