Kanz e Aza

Haye Afsos Raha

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

haye afsos raha sab ko afsos raha


itna mauqa ali akbar ko qaza ne na diya

maa tadapti rahi dulha bhi banane na diya


jaane kya soch ke seene se ali akbar ne

haath baba ko bahot dayr hatane na diya

itna mauqa ali akbar ko...


laashe akbar pe ye kehti thi tadap kar laila

fayeda koi tujhe maa ki dua ne na diya

itna mauqa ali akbar ko...


le gayi cheen ke baba se ajal akbar ko

khat bhi hamsheer ka bhai ko sunane na diya

itna mauqa ali akbar ko...


baap sharminda hai is aalame ghurbat ne mujhe

chand khatre tujhe pani bhi pilane na diya

itna mauqa ali akbar ko...


lag gayi maut ki bhar poor jawani mein nazar

haye taqdeer ne sehra bhi sajane na diya

itna mauqa ali akbar ko...


maut se sirf rahega ye gila akbar ko

jo tha sughra se wo waada bhi nibhane na diya

itna mauqa ali akbar ko...


kaise uthega zaeefi mein janaza uska

baap ko jisne kabhi ranj uthane na diya

itna mauqa ali akbar ko...


lag gaya chand ko laila ke gehen maqtal mein

maa ke armaano ko parwaan chadhane na diya

itna mauqa ali akbar ko...


keh ke roti thi yehi aamir o akhtar ek maa

kaun sa zakhm mujhe karbobala ne na diya

itna mauqa ali akbar ko...