baap se maange ijazat ran ki jab kadiyal jawan
thaam kar dil shaah bole pehle do akbar azan
rodiye kauno makan jab kaha wo naujawan
allahu akbar allhu akbar
khoon mein doobi ali akbar ki jab aayi sada
ladkhadate suye maqtal chal diye shaahe huda
haye ali akbar haye ali akbar
pahonch kar dekha ali akbar ka sheh ne haale zaar
seene mein barchi gadi hai dard se hai be-qaraar
haye ali akbar...
seena e akbar se barchi ko nikale jab hussain
sheh ke qaime se utha wa akbara ka shor o shain
haye ali akbar...
gul hua pal bhar mein laila ki umeedon ka charaagh
rehgaya ek maa ke dil mein hasrat o armaan ka daagh
haye ali akbar...
sheh ki nazron mein hui tareek aashiq kayenaat
sar jhuka kar ro rahe hai hoor o hilma ek saath
haye ali akbar...