ham soorat e ahmed ho hm naam e khuda akbar
kyon kar tumhe maa dede marne ki raza akbar
ham soorate ahmed…
is aalam e ghurbat may sheh kisko pukarenge
kis haal may hote ho baba se juda akbar
ham soorate ahmed…
tum jaate thay maqtal may baba ko nahi dekha
kis tarha wo dete thay jeene ki dua akbar
ham soorate ahmed…
jab tumne pukara tha maidan se sarwar ko
zainab bhi nikal aayi kehti thi mera akbar
ham soorate ahmed…
sheh leke to aaye thay qaime may tera laasha
par kaise bataun mai jo haal hua akbar
ham soorate ahmed…
is par hi masaib ka kuch zor nahi toota
shabbir ke haaton par asghar bhi gaya akbar
ham soorate ahmed…
phir chain se sojana bas itna bata jao
hum kis se ghiza maange aur kis se rida akbar
ham soorate ahmed…
ab kaise bataun mai zaidi ki tamanna hai
marte hue honton par ho naam tera akbar
ham soorate ahmed…