innalillaah pad ke akbar ko
haye sheh ne amaama baandha hai
ghar se nikle thay is tarha akbar
jaise koi janaza jaata hai
innalillaah pad ke...
maut jeene ki kar rahi hai dua
aur akbar chale hai marne ko
umme laila ka mustafa beta
zakhm seene pe khaane jaata hai
innalillaah pad ke...
jaise dil jaa raha ho maqtal mein
jaise jaati ho jaan seene se
aise apne jawan ke peeche
ek mazloom baap chalta hai
innalillaah pad ke...
kitna pyara hai shaah ko akbar
saare zaalim ye baat jaante hai
taygh akbar pe chal rahi ha yahan
ibne zahra wahan tadapta hai
innalillaah pad ke...
quwwat e murtaza ye poochti hai
sabr e shabbir itna batla de
wo to khyber ke dar se wazni tha
kaise laasha jawan uthaya hai
innalillaah pad ke...
ran mein rahwaar se giray akbar
shaah qaime ke dar se uth na sake
aise dil thaam ke giray maula
arsh jaise zameen pe girta hai
innalillaah pad ke...
ay raza us jawan ke seene se
khoon rukta nahi hai roke se
sheh ka daaman lahoo mein doob gaya
zakhm na jaane kitna gehra hai
innalillaah pad ke...