Kanz e Aza

Jaanta Hai Bas

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Dilshad Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

jaanta hai bas khuda kaise sambhal paaye hussain

qatlgah mein laash par akbar ki jab aaye hussain


di sada akbar ne baba lo salaam e aakhri

tooti hai seene mein barchi saans rukti hai meri

yun gire sun kar zameen par na sambhal paaye hussain

jaanta hai bas khuda...


ghutniyo chalte huwe pahunche jo akbar ke khareeb

ibne zehra aaye hamshakle payambar ke khareeb

dekh kar seene mein barchi gham se chillaye hussain

jaanta hai bas khuda...


dekhi jis dam naujawan ke seene mein barchi ki ani

ho nahi sakti bayan haalat dil e shabbir ki

zindagi aur maut se ladte nazar aaye hussain

jaanta hai bas khuda...


khaak par dam todta tha ye ali akbar mera

ho kahan abbas aao dete hai sarwar sada

koi monis hi nahi hai kis ko bulwaye hussain

jaanta hai bas khuda...


khaak par baithe padi nade ali shabbir ne

khaynch li seene se barchi ki ani shabbir ne

naujawan ki laash maqtal se utha laaye hussain

jaanta hai bas khuda...


seena e akbar mein barchi ka suna ghabra gayi

uthna chaaha jab musalle se to ghash khaa kar giri

ab sambhalo maadar e akbar ko maajaye hussain

jaanta hai bas khuda...


ay behan akbar tumhara khaak par hi so gaya

jis ko paala naaz se zainab wo akbar na raha

haye ye zainab ko kis tarha se samjhaye hussain

jaanta hai bas khuda...


kijiye ehsaan maula aap ka zaair banun

roo baroo yazdan ho rauza aur mai nauha padhun

dil ki dhadkan band ho aur saans ruk jaaye hussain

jaanta hai bas khuda...