aaja ali akbar aaja ali akbar
jab raat ko ghar mein na tumhe payegi sughra
mar jayegi sughra
deewaron se sar dekhna takrayegi sughra
baba mujhe ab tum se shikayat nahi koi
ro ro ke tumhe jaan se guzar jayegi sughra
mar jayegi sughra
jab raat ko ghar...
jab waqte fajr hota hai yaad aate ho akbar
mai raah dekhti hoon kab aaoge akbar
ashkon se wazoo kar ke tujhe maangu khuda se
awaaz e azan mujhko sunao ali akbar
awaaz e azan kaan mein jab aayegi baba
tanhaai mein bhai ko kahan payegi sughra
mar jayegi sughra
jab raat ko ghar...
tum ghar se gaye jab se mera haal na poocha
tum khud hi kaho kis tarha jee payegi sughra
mar jayegi sughra
jab raat ko ghar...
armaan tha sehra tere sar pe mai sajaati
naazon se tujhe bhaiya dukha mai banaati
afsos tera laasha haye ran mein pada hai
pardes mein ho kaise tumhe dekhne aati
veeran nazar aayega jab aap ka hujra
aankhon se lahoo qalb ka barsayegi sughra
mar jayegi sughra
jab raat ko ghar...
rehaan magar kaun ye sughra ko bataye
jab aisi madine mein khabar payegi sughra
mar jayegi sughra
jab raat ko ghar...