Kanz e Aza

Jawaan bete ka lasha uthake laaye hussain

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Jawaan bete ka laasha uthake laaye Hussain


na jaane kaise zayeefi me dukh uthaaye hussain


Jawaan bete ka laasha uthake laaye Hussain


1) Sadaye Aaqri sunkar Hussain run ko chale

Gire kabhi kabhi, uthkar Hussain run ko chale

Sarhane baith ke , zaanu pa sar uthaye Hussain


Jawaan bete ka laasha uthake laaye Hussain......


2) Pidar ke aane ki aahat suni jo Akbar ne

Tadap ke rehgaye aur Aah ki na Akbar ne

Pisar ko dekhke , kya zakhm dil pa khaye Hussain


Jawaan bete ka laasha uthake laaye Hussain......


3) Pidar yeh aaya hai kuch tou kaho Ali Akbar

Yeh haath seene pa kyu'n rakhe ho Ali Akbar

Utho ke seene se, apne tumhe lagaye Hussain


Jawaan bete ka laasha uthake laaye Hussain......


4) Nikaali shaah ne kehkar jo ya Ali barchi

Pidar ke aage pisar ne li Aaqri hichki

Uthaye naaz the laashe ko ab uthaye Hussain


Jawaan bete ka laasha uthake laaye Hussain......


5) Qareeb e lashaye Akbar jo aagayi zainab

Pisar ke qoone jigar me naha gayi zainab

Bahen ne kaise tere housle badhaye Hussain


Jawaan bete ka laasha uthake laaye Hussain......


6) Jo laayi Qaime me sarwar ne laash Akbar ki

Tha hashr Bibiyo me aur ghash hui Maa bhi

Na jaane Quvvat e dil kaise Aazmaye Hussain


Jawaan bete ka laasha uthake laaye Hussain......


7) Thi baade karbobala Maa ki yun basar HYDER

Azaan jab bhi suni yaad agaye Akbar

Yeh sadme zainabe muztar ne bhi uthaye Hussain