Jawaan bete ki mayyat utha rahe hain hussain as
Harek gaam pe aansoo baha rahe hain hussain as
1. Hussain par ye musibat ka waqt aaya hai ke aage aankho'n ke kaisa andhera chaaya hai
Harek gaam pe thokar bhi khaa rahe hain hussain as
2. Madad ke waaste baaqi nahi raha koi
banega kistarah gurbat me aasra koi
sada ye bacho ko dekar bula rahe hain hussain as
3. Zayeef baap hai gurbat ye kaisi hai chaayi
rawaana hogayi ashkou'n ke sath beenayi
qadam qadam pa ab aansoo baha rahe hain hussain as
4. Kataake hatho'n ko darya pa sote ho bhai
hamaari bekasi aakar ye dekhlo bhai
Jawaan bete ki mayyat utha rahe hain hussain as