Kanz e Aza

Jawan Bete Ko Haaton

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

bajuz hussain kisi se ye kaam ho na saka

jawan bete ko haaton se koi kho na saka


bhara tha chillu may peene may dayr hi kya thi

wafa e hazrate abbas se ye ho na saka

jawan bete ko…


tamam umr mai rounga uski turbat par

ghareeb baap ki mayyat pe bhi jo ro na saka

jawan bete ko…


tamam raat tadapte hue kati meri

kahin hussain ka tha taskira mai so na saka

jawan bete ko…


ilaahi zulm ki had hogayi mua'zallah

pisar ka khoon bhi chehre se baap dho na saka

jawan bete ko…


uthunga qabr se rota hua khuda ki qasam

mere hussain mai jee bhar ke tujhko ro na saka

jawan bete ko…