jawani to ali akbar luta di
magar islam ki khuwat badha di
jawani to ali akbar…
azadaro tumhare aansuon ne
bahisht o khuld ki kheemat badha di
jawani to ali akbar…
tadap kar gir pade jhoole se asghar
hussain ibne ali kaisi sada di
jawani to ali akbar…
ali asghar ne ran may muskurakar
yazeedi fauj may halchal macha di
jawani to ali akbar…
kaha bano ne asghar ki lehad par
hamay kis jurm ki beta saza di
jawani to ali akbar…
khuda ke naam par sarwar ne ran may
kamayi zindagi bhar ki luta di
jawani to ali akbar…