Kanz e Aza

Jawani Ali Akbar ke

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

salaam ali akbar salaam ali akbar


hum jawano ki jawani hai ali akbar ke naam

kaash unke kaam aaye hum kare kuch aise kaam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam


khadimon ki tarha hum bhi pesh aaye baap se

jis tarha karte thay akbar baba jaan ka ehteraam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...


is khadar padhlo wakeel e fatema zehra bano

ho tumhare haath mein saara adalat ka nizaam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...


jis tahra abbas ko akbar samajhte thay sada

us tarha ustad ko dein baap ke jaisa maqam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...


is jawan ka naam lekar dil se tayyari karo

imtehan mein kamiyabi khud milegi gaam gaam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...


paon choone chaahta tha roka maatha choom kar

is kareemi par tumhari ro pada hurr ka ghulam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...


sab sawalon ke milenge sciencee tumko jawab

tum kalaam e paak se kar ke zara dekho kalaam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...


laut aaye qaime mein sajjad ki awaaz par

tum ne sikhlaya bade bhai ka kya hai ehteraam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...


haath ka matam ho ya phir matam e zanjeer ho

dil se bas matam karo tum kya halal aur kya haram

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...


ye adab sajjad bat jaaye tabarruk mein kahin

sar jhuka kar jis tarha karte thay wo maa se kalaam

ay ali akbar salaam ay ali akbar salaam

hum jawano ki jawani...