Kanz e Aza

Mai Hoon Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mir Sajjad Mir (2026). Lyrics in Roman Urdu.

mai hoon abbas mere dar pe tum aise aana

naam mera hai zamane ko adab sikhlana


nange paaon hai chale saahibe meraj yahan

aisi nalain ke dastaar bhi rakh kar jaana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...


baab e hitta se bada dar hai dar e maula hussain

sajda karte huwe darwaze se andar jaana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...


matami saff mein khade ho ya namazi saff mein

kisi halqe mein bhi halke na nazar tum aana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...


hai bahot sheh ko pasand aise bashar ka aana

wo jo aaya hai yahan jod ke aana aana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...


ho gunehgar to phir hurr si nidamat laana

phir mera kaam hai hazrat se tumhe milwana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...


qabr mein haazir o naazir hai imame masoom

ibne zehra ko kabhi peet nahi dikhlana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...


ye na ho hujron mein hi waqt guzar jaaye tamaam

tum watan se yahan aaye ho haram bhi aana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...


mere sufre pe milegi tumhe jannat ki ghiza

yahan behlol bhi kha lete hai daana daana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...


mir sajjad utha haath jo mazloomon par

maine raj'at mein qalam karna hai har wo shaana

naam mera hai zamane ko...

mai hoon abbas mere...