Kanz e Aza

Mai jee nahi paungi baba

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

baba baba


mai jee nahi paungi baba


deti thi sada roker sughra


mai jee nahi paungi baba


veeran pada hai ghar saara


mai jee nahi paungi baba


bhayya ne kaha tha aayenge aur saath mujhe lejayenge

vaada na huwa ab tak pura


mai jee nahi paungi baba


mujhe lagta hai ek din ek baras

bimaar pe kuch to khaao taras

dam toot hi jaayega mera

mai jee nahi paungi baba kyu mujhpe sitam ye dhaata hai

reh reh ke mujhe tadpaata hai

kaisa hai ye chand muharram ka


mai jee nahi paungi baba


dadi ki lahad per jaati hu'n

kya haal hai apna bataati hun

unse bhi yeh karti hu'n shikwa


mai jee nahi paungi baba


kya yu'nhi mujhe rulwaoge

kab laut ke wapas aaoge

kuch haal-e-safar bhejo apna


mai jee nahi paungi baba


naraz bahot hu'n kubra se

mai rooth gayi hu'n sakina se

kehdo ke yeh kehti hai behna


mai jee nahi paungi baba


darwaaze ko kabse takti hu'n

ekaas lagaye behthi hu'n

aajayenga ab kunba mera


mai jee nahi paungi baba


ghurbath hai ye reh ke watan me bhi

lagta hai ke mai hu'n pardesi aur zauf se hatou'n me hai asa


mai jee nahi paungi baba


wo mujh ko dilaasa deti hai

nani umme salma kehti hai

aise na padho bibi nouha


mai jee nahi paungi baba


the bain kamaal ye sughra ke

saqqae haram ammu mere

aajayei'n agar ahsaa'n hoga


mai jee nahi paungi baba