tanhaai mein kulsoom pada karti thi nauha
mai kya karun mai saahibe aulaad nahi hoon
ashoor hai shabbir ka dam bharti hai maayein
islam pe beton ko fida karti hai maayein
ye mera muqaddar hai ki mai aaj hoon tanha
mai kya karun...
haathon pe jo sheh layenge laashe ali akbar
aa jayengi laila dar e qaima pe tadap kar
bete ko dua dengi jo dekhengi kaleja
mai kya karun...
jab teer lagega to machal jayega baysheer
le aayenge maqtal se usay godh mein shabbir
yaad aayega bano ko hamesha koi jhoola
mai kya karun...
farwa ke liye kam nahi shabbar ki nishani
jee khol ke karlengi wo tab marsiya faani
pamaal shuda aayega jab bete ka laasha
mai kya karun...
jurrat mein kisi se nahi kam aun o mohamed
sheron ki tarha todenge dam aun o mohamed
armaan dil e zainab ka bhi ho jayega poora
mai kya karun...
ay kaash pisar aaj koi mera jo hota
is waqt wo shabbir pe qurban to hota
sar deta wo karti mai adaa shukr ka sajda
mai kya karun...
akbar ki tarha asghare baysheer ki surat
katwaata wo sar dilbare shabbir ki surat
hota mere aulaad ka sar bhi sar e naiza
mai kya karun...
ek pal bhi mai ghairat ki sabab jee nahi paati
kya maadar e shabbir ko mai shakl dikhaati
abbas na banta meri jaanib se jo fidya
mai kya karun...
kulsoom ne tab maangi dua aamir o nayyar
mayoos na karna usay ay khaaliq e akbar
maange koi ab mere waseele se jo beta
mai kya karun...