shabbir ke maqsad ko bachalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang ko taalo mere ghazi
maana ke bohat josh pe toofan e sitam hai
baazu ye salamat hai to kis baat ka gham hai
abbas tumhe chadar e zainab ki qasam hai
qaimon ko tarayi se hatalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...
is ghaiz ke sholon se pighal jayega suraj
tum taygh uthaloge to jal jayega suraj
haan maut ki aagosh mein dhal jayega suraj
ubhre huwe ghusse ko dabalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...
be-deeno ke qaimon ko gade rehne do bhai
aajao idhar unko khade rehne do bhai
wo zid pe ade hai to ade rehne do bhai
tum behre khuda khud ko sambhalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...
tum baazu e shabbir ho haalaat ko samjho
ay bhai zara behno ke jazbaat ko samjho
mai maa ki jagah hoon meri baat ko samjho
filhaal bhatiji ko manalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...
paighambar e inkar dua deta hai tumko
ghairat ka khuda daad e wafa deta hai tumko
saqqayi ka ohda bhi sada deta hai tumko
talwaar rakho mashk uthalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...
shabbir ke lashkar ke alamdar tumhi ho
hamza ki qasam jafar e tayyar tumhi ho
armaan e dil e hyder e karrar tumhi ho
mashkeeze mein darya ko chupalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...
lau dete huwe sholon ko shabnam mein badal do
zau dete zakhmon ko marham mein badal do
siffeen ke toofan ko zam zam mein badal do
ye ghaiz o ghazab zabt mein dhaalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...
ek din mere maathe ki shikan tumse kahegi
ehsaas ke sholon ki chubhan tumse kahegi
waada hai bohat jald behen tumse kahegi
haan jang ke armaan nikalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...
nayyar ke liye waqt gham angez bohat hai
dunya paye aamir sitam aamez bohat hai
haalaat ke suraj ki tapish tez bohat hai
tum hi inhe saaye mein bithalo mere ghazi
kuch dayr abhi jang...