haye qasim haye qasim
meri laash ke tukde chun chun kar
maqtal se utha lo amma
wo zehr mila mere baba ko
ek dil ke bahattar tukde huwe
dekho to zara ran mein aakar
meri laash ke tukde bikhre huwe
bete ki shahadat ka manzar
baba se milalo amma
meri laash ke tukde...
baba aap ki hasrat jeet gayi
is laal ne waada poora kiya
baba ki wasiyat poori ki
taweez ka likha poora kiya
tehreer ke saare harfon ko
mere khoon se sajalo amma
meri laash ke tukde...
meri laash ke saare tukdon ko
kabhi phool kabhi kaliyan samjho
maathe pe jo khoon ki dhaarein hai
unhe sehre ki ladiyan samjho
dulha to mai ban paaya na magar
aankhon mein basalo amma
meri laash ke tukde...
jis chehre ko chand samajhti thi
us par ye kharashein dekh to lo
jo jism gulab tha ab us par
ye ghodon ki taapein dekh to lo
ghash kaa ke na ran mein gir jaana
dil apna sambhalo amma
meri laash ke tukde...
har ek shaheed ye kehta tha
nusrat ke liye aao aaqa
tha saare shaheedon mein lekin
mera rang juda mera dhang juda
maine kaha ghode se gir ke
mujhe aake bachalo amma
meri laash ke tukde...
tukdon mein jigar ke hal kar di
maine ye lahoo ki laali bhi
do baar shahadat mujhko mili
do baar mili pamaali bhi
baba ki taraf se bhi aakar
mujhe galay lagalo amma
meri laash ke tukde...
aaya na koi durr pehne huwe
yun teeron mein talwaron mein
jaunga mai ab naizon naizon
bazaaron mein darbaron mein
mujhe dekh to le zara darya se
ammu ko bulalo amma
meri laash ke tukde...
qaime bhi jale chadar bhi chini
hai shaam e ghariban jangal mein
har mod pe qatil baithe hai
tum aaogi kaise maqtal mein
phupiyon ki tarha tum baalon se
chehre ko chupalo amma
meri laash ke tukde...
seene pe jo daagh hai matam ka
mere ishq ki ek nishani hai
har lamha aankh mein nayyar ki
mera dard hai meri kahani hai
phir nauha sunaya aamir ne
phir ashk bahalo amma
meri laash ke tukde...