Kanz e Aza

Pamaal Sumay Aspa

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

pamaal sumein aspa ay chaak badan qasim


marne ke liye tune jab izn nahi paaya

khidmat mein shahe deen ki khat baap ka pahunchaya

phir ashk-e-musalsal thay aur shaah ka chehra tha

yaad aagaye kuch payma ay chaak badan qasim

pamaal sumein aspa…


maidan se jaise hi awaaz teri aayi

faujon ki taraf jhapte abbas bhi sarwar bhi

bhagdar jo machi ran mein har samt qayamat thi

phir ruk na saka toofan ay chaak badan qasim

pamaal sumein aspa…


qaimo mein qayamat hai kubra pe falak toota

rone ki sada'ein hai madar ko hua sadma

nou shah ko chadar mein laate hai shahe wala

ab hogaya ghar veeran ay chaak badan qasim

pamaal sumein aspa…


sandal hai na gehne hai ubtan hai na mehndi hai

is tarha ki shaadi bhi logon kahin hoti hai

maqtal mein hai baraati har samt udasi hai

aur khaak basar hai maa ay chaak badan qasim

pamaal sumein aspa…


kuch deyr mein dulhan ke haaton mein rasan hogi

toote huye khabon ki ankhon mein chuban hogi

tay hoga safar tanha kya dil pe thakan hogi

mitti mein milay armaan ay chaak badan qasim

pamaal sumein aspa…


sab farsh-e-aza par hai taqreeb-e-uroosi mein

soughat hai matam ki ashkon ki rawani mein

taa hashr hai gham shahid is majlis-e-shaadi mein

ghamkhar hai sab girya ay chaak badan qasim

pamaal sumein aspa…