qasim jo giray ghode se tha maut ka pehra
tha khoon mein dooba hua wo chaad sa chehra
chalni tha badan teeron se har zakhm tha gehra
khoon sar se baha ban gaya ek ladiyon ka sehra
is tarha larazta hua laasha nahi dekha
is shaan ka koi kabhi dulha nahi dekha
har jod tha toota hua har band juda tha
baazu hai ye wo jispa ke taweez bandha tha
kuchla hua seena tha lahoo sar se baha tha
is phool se bache pe ajab zulm hua tha
ye wazn ka taapon ka wohi toot gayi thi
sab pasliyan seene mein kahin toot gayi thi
maidan mein madad ke liye chillaate thay qasim
jaate thay idhar aur udhar aate thay qasim
dam atka tha aur chain nahi paate thay qasim
lagti thi jo taape to tadap jaate thay qasim
ghodon se kuchal jaane ki zehmat na dikhaye
allah kisi ko ye musibat na dikhaye
sheh khaak pe bhai ka pisar dhoondh rahe hai
maidan mein wo laasha hai kahan dhoondh rahe hai
aankhon mein andhera hai magar dhoondh rahe hai
phir bhai ka har lakhte jigar dhoondh rahe hai
tewra ke wahin girte hai ghash aata hai sheh ko
jab jism ka tukda koi mil jaata hai sheh ko
shabbir ne jisko kabhi godhi mein sulaaya
haathon ko bhi chooma kabhi seene se lagaya
taqdeer ne ye aaj ajab waqt dikhaya
laasha usi bache ka hai chadar mein uthaya
thaame huwe kone hassan e khasta jigar hai
aaza ki ye gathdi nahi bewa ka pisar hai
seh lete hai kuch dard bataye nahi jaate
laashe kabhi hisson mein uthaye nahi jaate
gar shaah rida apni bichaye nahi jaate
tukde kabhi qasim ke uthaye nahi jaate
chadar ko jo thaame huwe abbas khade hai
akbar bhi sahare ke liye paas khade hai
kya haal hai laashe ka bataya nahi jaata
shabbir se sadma ye uthaya nahi jaata
gehra hai bahot zakhm chupaya nahi jaata
qaime ki taraf badhte hai jaaya nahi jaata
is gham ka kahan baar utha payegi bewa
jab laashe pisar dekhegi mar jayegi bewa
dil apna sambhala kabhi chadar ko sambhala
qaime ki taraf chalne lage sayyede waala
tareek hua jaata tha aankhon ka ujaala
chadar mein bandhi laash ko jab saamne daala
farwa ne ye poocha ke kahan laal mera hai
dil hilta hai batlaiye is gathdi mein kya hai
gathdi jo khuli hashr bapa ho gaya har soo
tukde tha badan laash ka aur khoon bhare gaysu
taapon ke nishan seene mein aur aankhon mein aansu
kehne laga aahista se zehra ka wo mehroo
ye dekhiye jo ek tan e sadpaash hai bhabi
pehchaniye qasim ki yehi laash hai bhabi
maa gir gayi ye dekh ke tewra ke zameen par
mehshar se hi pehle tha wahan qaime mein mehshar
farwa ko sambhale rahi khud zainabe muztar
shabbir ki aankhon mein qamar phir gaya manzar
larzish thi har ek tukde mein kuchla hua tan tha
shabbar ka kaleja tha ke qasim ka badan tha