waada e deedaar nazdeek ast
nusrat e imam hogi kisko ab naseeb
ehd ki wafa ka waqt aagaya khareeb
tum nibhaoge waada e wafa
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
poochta hai fatema ka laal do jawab
kaun dega karbala ke khoon ka hisab
aur yazeed e waqt sun le ab zara
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
shaahe mashraqain ko hai mera intezar
maadar e hussain ko hai mera intezar
baaqi ab bhi hai inteqam e karbala
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
zulm aa ke khatm mai karunga ek din
adl se jahan ko bharunga ek din
waqt ki ummeed dil ki hai sada
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
zulm aur gunaah ke ye raaj khatm ho
deen ke jo khilaaf hai riwaaj khatm ho
maa behno tum mat ho berida
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
jo hussainiyo ki hai wo shaan chahiye
baatein ho chuki bahot hai jaan chahiye
tum banaoge mera raasta
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
door tum ho mai nahi zara bhi tum se door
tum pe munhasir hai sirf ab mera zahoor
apne saamne rakhlo aeena
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
karbala ki khaak par hai laasha e hussain
sun raha hoo jaane kab se fatema ke bain
muntazir hai aaj arz e karbala
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
keh rahe hai teer khaake shaahe karbala
tukde tukde ho ke bhi nahi mai mar saka
laasha e hussain ki hai ye sada
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...
ehteram e mustafa zaroor chahiye
ab imam e asr ka zahoor chahiye
shadman aur qamar ki hai dua
aaunga mai ek din zaroor aaunga
waada e deedaar...