Kanz e Aza

Zinda Rehne ke Liye

A noha written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

zinda rehne ke liye bas ek jazba chahiye

karbala bas karbala karbala bas karbala


theek hai darya mein moosa ke liye raste bane

ya ali keh kar hamein pani pe chalna chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...


tashnagi sab ki bujhane ke liye darya nahi

hazrate abbas jaisa ek pyasa chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...


cheh mahine ke ali asghar ka ye paigham hai

jitna jeena hai zaroori utna jeena chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...


aakhri sajda kiya shabbir ne ye soch kar

jaisa wo ma'bood hai waisa hi sajda chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...


dekhiye pakeeza kitni hai dua e fatema

sochiye ek matami ko kaisa hona chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...


kat gaya sajde mein sar to keh utha ishq e hussain

ab sina ki nok par quran padna chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...


chahiye bas mere beti ko sakina ki dua

mere bete ko ali asghar ka sadqa chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...


ye hussaini hai dua e sayyeda hai inke saath

har yazeedi ko azadaron se darna chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...


aao suraj mein bichate hai qamar farshe aza

har jagah par karbala ka zikr hona chahiye

karbala bas karbala...

zinda rehne ke liye...