Kanz e Aza

Zinda Rehan Hai To

A noha written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

mustakhil khoone shahadat se nihkharna hoga

zinda rehna hai to shabbir pe marna hoga


aankh se mehdi e douran ke lahoo behta hai

inteqam e shahe mazloom abhi rehta hai

badla lena hai to maidan may utarna hoga

zinda rehna hai to...


haalat e jang may hai ahle aza jaagenge

hum ali waale shahadat se nahi bhagenge

maut ke khauf se zaalim ko hi darna hoga

zinda rehna hai to...


ehtejaaj apna hamesha hai usoolon ki tarha

hum janazon ko utha lete hai phoolon ki tarha

har gali aur har ek shehr may dharna hoga

zinda rehna hai to...


raah hum waar nahi karte paleedon ke liye

hum sahara nahi bante hai yazeedon ke liye

ek samandar ki tarha hum ko bipharna hoga

zinda rehna hai to...


hausla lena hai bachon ko ali asghar se

josh milta hai jawano ko ali akbar se

doob kar khoon ke darya may ubharna hoga

zinda rehna hai to...


jodna aalam e islam hai beta tum ne

sheh ye kehte hai ke qasim tere tukde honge

khaak par jaan meri tum ko bikharna hoga

zinda rehna hai to...


jaan sab de chuke to baat ajab sheh ne kahi

jang aisi kabhi dunya ne na dekhi hogi

aaj asghar ko liye ran may utarna hoga

zinda rehna hai to...


qabr bachi ki hai zindan may tayyar qamar

aur zanjeer may abid hai giraftaar magar

le ke mayyat isi haalat may utarna hoga

zinda rehna hai to...