zinda hai hussain
sab ne jaana sab ne maana
tu ek hi hai bas ek hi hai maula ek hi hai
hussain hussain hussain
zinda tha tu ab bhi zinda hai
zinda rahega tu maula hamesha
waada hai waada hai imam hussain
zinda rahega tera naam hussain
tu ruka nahi tu jhuka nahi
kaha jo tu ne wo kar ke dikhaya
ghar luta diya sar kata diya
zulm ke aage na sar ko jhukaya
ooncha rahega naam aisa kiya hai kaam
karte hai khaas o aam
tum pe laakhon salaam
hoga labon pe subho shaam hussain
zinda rahega tera naam hussain
tujhse jo bhi takraye thay
ho gaye wo dozakh ke hawale
jhuk gaye tujh ko jhukane waale
mit gaye tujh ko mitane waale
us taraf jhoothe makkaar
is taraf sayyed sardar
zulm udhar aur jabr udhar
sayyed ter sabr idhar
udhar thay naiza barchi waale
idhar thay deen bachane waale
saari duniya ek taraf
aur ek taraf mera maula hussain
tujhpe khuda ka hai salaam hussain
zinda rahega tera naam hussain
waada hai waada hai...
ishq e man hussain jaane man hussain
dil mein dhadakta hai naam tumhara
hai teri qasam jab talak hai hum
goonjega har soo ek hi naara
sab ne ye maana hai tera zamana hai
har dil deewana hai parcham lehrana hai
jis pe likha ho tera naam hussain
zinda rahega tera naam hussain
waada hai waada hai...
apne bacchon ko shaahe karbala
jaayenge de kar hum yehi wirsa
yun sajate hai ghazi ka alam
aise bichate hai farsh aza ka
ye behne betiyan teri saydaniya
bacche ho ya jawan saare ho nauhakhwan
teri nishaniyan ho aam hussain
zinda rahega tera naam hussain
waada hai waada hai...
farshe gham tera dil se gham tera
waada hai ahle aza karte rahenge
thaam ke alam yun hi har qadam
kaale libason waale badte rahenge
boodhe bacche jawan hai saare ek zaban
dekhega ye jahan hai tera jalwa
badta rahega gaam gaam hussain
zinda rahega tera naam hussain
waada hai waada hai...
matam o sajda jo sang hai maula
ye tere ishq ka rang hai maula
hairat se saara jahan dang hai maula
aur tera dushman tang hai maula
kaisa liya hai inteqam hussain
zinda rahega tera naam hussain
waada hai waada hai...
aandhiyon mein bhi barishon mein bhi
hum ne kiya hai tera matam maula
fatwagar uthe kitne shar uthe
hum ne manaya hai muharram maula
zehra ki hai dua deti hai hausla
hum ne to har jagah pursa tujhe diya
rukte kahan hai ye ghulam hussain
zinda rahega tera naam hussain
waada hai waada hai...
baad e karbala jab teri behen
khafila le ke tera shaam gayi thi
haath thay bandhe sar tha berida
noke sina pe tujhe dekh rahi thi
di thi ye buka qateel e nainawa
waada hai ye mera dunya mein har jagah
majlis ka hoga ehtemam hussain
zinda rahega tera naam hussain
waada hai waada hai...
saara jahan ye bol raha hai
raaz e aqeedat khol raha hai
dil mein hamare dhadak raha hai
dushman is se bhadak raha hai
tera hi to raaj hai zameeno mein zamano mein
tera hi tazkira hai dunya ki saari zabano mein
charon jaanib karbobala ke baad se lekar aaj talak
teri hi to jeet ka aelaan hai azaanon mein
farhan o mazhar ki sada
zinda rahega tera naam sada