wahan pe rota hai khoon ab bhi aasman hussain
jahan pe loota gaya tera karwan hussain
lagi thi seena e akbar pe jis jagah barchi
jahan pe doob gayi khoon may shabihe nabi
jahan pe qatl hua tera naujawan hussain
wahan pe rota hai khoon…
jahan pe pyaas se baysheer tera rota raha
jahan pe nanhe mujahid ke teer maara gaya
jahan pe khat'a hua tha tera bayan hussain
wahan pe rota hai khoon…
jahan huwe thay tere bhai ke qalam baazu
jahan kiya tha alamdaar ne lahoo se wuzoo
jahan huwa tha tera sher neem jaan hussain
wahan pe rota hai khoon…
jahan pe tukdon may bikhra hua tha ek dulha
jahan pe sehra pada kar raha tha wavaila
jahan ujad gaya kubra ka kul jahan hussain
wahan pe rota hai khoon…
jahan pe khatm hua tha hussain tera safar
jahan pe khusk galay par tera chala khanjar
jahan mitaya gaya tha tera nishan hussain
wahan pe rota hai khoon…
jahan pe koi na tha aasra ghareebon ka
jahan pe chin gayi saydaniyo ke sar se rida
jahan tha nauha kuna tera khandan hussain
wahan pe rota hai khoon…
jahan pe gohar e gham tashna lab thay sehme huwe
jahan tamache lagay thay teri sakina ke
tere yateem jahan par thay be-amaan hussain
wahan pe rota hai khoon…