Kanz e Aza

Wallah Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

tanha tanha na guzar paaya jahan se koi

saath kube ke wahan se dil e zehra guzra

dashte pur khaar mein shabbir paye deen e khuda

kaam wo kar gaye islam ko phir kehna pada

wallah hussain wallah hussain


ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain wallah hussain


har qaum pukaregi hamare hai hussain

wallah hussain wallah hussain


ibne zehra ke kamalaat ka idraak ho kya

roz padte thay nabi apne pisar ka chehra

jis ko quran e shahadat kaha jaaye uska

aayah hussain surah hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


labe darya nazar aaya hai ajab ek manzar

tashangi qaima e shabbir mein hai jalwagar

deen ko karte hai sairaab hai pyase sarwar

saqqa hussain darya hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


ahle kaunain ko is tarha se samjhate hai

farsh majlis ka bichaate hai to sab aate hai

farsh pe aan ke dunya ko ye batlaate hai

mera hussain sab ka hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


martaba haq ne hai baksha ye azadaron ko

hai dua fatema zehra ki azadaron ko

daakhil e khuld karenge sabhi ghamkhwaron ko

aaqa hussain maula hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


dehr mein bhi ghame shabbir ne rutba baksha

hashr mein bhi ghame shabbir raha sarmeina

jis jagah pahunche shahe deen ka hi jalwa dekha

dunya hussain uqbaa hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


ashk e gham waadi e firdaus mein le jaate hai

is tarha shams e muqaddar ko wo chamkaate hai

hurr ye kehte huwe sarwar ke khareeb aate hai

shajra hussain saaya hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


yuhin rakhenge alam hazrate ghazi ka alam

hashr tak leke yuhin jayenge shabbir ka gham

sar e sooli bhi nahi chodenge sheh ka matam

ghurba hussain jazba hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


sheh ke ghamkhwar hai hum sab zamane waale

hum ghame shaah ke qaime mein rahe bachpan se

bachpane se hi azadaar banaya maa ne

dekha hussain likha hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


waadi e deen se aati hai ye har gaam sada

hai azaanein ghame shaahe shohda ka sadqa

hai namazon ka ye aelaan baraye sajda

shaah ast hussain baadshah ast hussain

deen ast hussain deen panaaah ast hussain

sar daar na daad dast dar daste yazeed

haqqa ke bina la ilaah ast hussain

sajda hussain haqqa hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


hum baatate hai ye ab jaan le dunya waale

hum ko allah ne is gham ke ujaale bakshe

saans jo aata hai wo shabbir ka sadqa hai

jeena hussain marna hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


kuch khabar lo meri sun kar meri awaaz utho

kab se awaaz diye jaati hai dukhiya tum ko

godh phailaye khadi hoo meri jaanib dekho

beta hussain aaja hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


hai sar e dashte musibat mera baccha baba

kuch samajh mein nahi ghamkhwar ko aata baba

char soo lashkare aghyaar karun kya baba

mera hussain tanha hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


al atash kehta raha sheh ka gala seh din tak

halq tak boondh bhi pani na gaya seh din tak

tashna hussain pyasa hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...


asr ka waqt hai hangaam e qaza wavaila

thi yehi dayam o yazdan kisi bekas ki sada

kab se awaaz tujhe deti hai ro kar dukhiya

mera hussain uth ja hussain

ya aabaab dillahil hussain

wallah hussain...