as salam ay shah-e-mazloom ghareebul ghuraba
ya ababdillah
kaash hote ye azadaar sar-e-karbobala
ya ababdillah
ya ali keh ke sina kheench to li seene se
ay payambar zaade
khoon rulwaega lakhte dil e umme laila
ya ababdillah
as salaam ay…
hasrat o yaas se tak'te thay haram suye furaat
kar ke abbas ko yaad
sar se zainab ke utari gayi jis waqt rida
ya ababdillah
as salaam ay…
arsh hilta hai fiza mein hai tamachon ki sada
aasman kyun na gira
ek masoom ko milti hai yateemi ki saza
ya ababdillah
as salaam ay…
bhai ki yaad hai zindan hai namaze shab hai
aur bas zainab hai
tha dam e ruqsat aakhir yehi lab par nauha
ya ababdillah
as salaam ay…
sadma e bewagi fatema kubra nahi kam
ban e qasim ki kasam
ek ye daag bhi ashoore ke din tune saha
ya ababdillah
as salaam ay…
dafn ke baad bhi qabron ko laeen khodte hai
aur sar kaat te hai
farq e baysheer hai shahid sar-e-nauk e naiza
ya ababdillah
as salaam ay…