Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Hum Apke Bachou Ke Azadar Hai Bibi
1.Dekho Toh Meri Qaum Ke Bachou Me Bhi Hai Gham
Jo Maaou Ki Gudhi Me Kiya Karte Hai Matam
Nadan Bhi Ho Kar Yeh Samjhdar Hai Bibi
Hum Apke Bachou Ke Azadar Hai Bibi
2.Aashoor Ka Din Hai Ke Qayamat Hai Manzar Aur Gardan-e-Shabbir Pa Chalta Raha Kanjar
Har Simt Se Ab Naiza-o-Talwar Hai Bibi
Hum Apke Bachou Ke Azadar Hai Bibi
3.Din Dhal Gaya Aur Asr Ka Hangham Jo Aaya
Sab Qatl Howe Rehgaye Tanha Shahe Wala
Bhai Na Bhatije Hai Na Ansar Hai Bibi
Hum Apke Bachou Ke Azadar Hai Bibi
4.Khoon Roti Howi Aahigayi Shaam-e-Ghariba
Bimar Bhatija Hai Toh Zainab Hai Pareshan
Ab Koun Yateemou Ke Madargar Hai Bibi
Hum Apke Bachou Ke Azadar Hai Bibi
5.Kausar Ki Dua Hai Liye Abbas Ka Parcham
Hum Sab Dar-e-Shabbir Par Jakar Karey Matam
Bus Itni Inayath Ke Talabgar Hai Bibi
Hum Apke Bachou Ke Azadar Hai Bibi