Kanz e Aza

Ya Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

khake karbobala kar rahi hai buka

ya hussain ya hussain


ho sake na labe nehr qaime bapa

ya hussain ya hussain


bhai abbas tha tera maara gaya

laasha ibne hassan ka bhi tukde hua

tere akbar ke seene pe naiza laga

ya hussain ya hussain...


teer gardan pe asghar ne khaya magar

teri himmat ke sadqe ali ke pisar

tune har haal mein shukre khaaliq kiya

ya hussain ya hussain...


haye yalghaar tujpe wo kuffar ki

kaisi baarish hui teer o talwar ki

sar tera haye sajde mein kaata gaya

ya hussain ya hussain...


phool zainab ne apne fida kar diye

dil ke tukde thay dono luta kar diye

hausla teri hamsheer ka marhaba

ya hussain ya hussain...


baad tere sakina ke gowhar chine

qaid abid huwe aur qaime jale

tera sar noke naiza pe rakha gaya

ya hussain ya hussain...


reesma teri zainab ke baandhi gayi

sar pe baakhi kise ke rida na rahi

aale ahmed pe kaisa ajab waqt tha

ya hussain ya hussain...


tere seene pe soti thi jo laadli

teri furqat mein wo ghut'ke mar hi gayi

is tarha se hui zulm ki inteha

ya hussain ya hussain...


khaak e paye ghulamane shabbir hoo

mai rehan azmi gham ki taqreer hoo

hai mere lab pe har dam yehi ibteda

ya hussain ya hussain...