Kanz e Aza

Ya Hussain

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

ya hussain, haye sham e ghariban, ya hussain


chagayi shaam e ghariban e haram

ab na ghazi hai na ghazi ka alam

ek bemaar hai wo bhi labe dam

saare aalam mein bapa hai matam

jal chuke qaime layeen loot chuke sar se rida

dasht mein aati hai sadaat ke rone ki sada

ya hussain...


ya hussain kushta e tayghe jafa

ya hussain sibte rasool e khuda

haye sar bar sare naiza tera

dar badar legayi fauje aada

be-kafan laashaye be-sar hai ghareeb e zahra

hai badan ghodon se pamaal tera wavaila

ya hussain...


nainawa dashte bala karbala

kyun hui jor o jafa karbala

kya thi pyason ki khata karbala

kuch to keh kuch to bata karbala

apne mehmani pe ye bandishe pani kyun kar

jiski maadar ko mehar mein mila hauze kausar

ya hussain...


ek maqtal mein bahattar laashe

bhanje bete bhatije pyase

paara paara huwe saare aise

ek quran ke paare jaise

khaak udh udh ke shaheedo ka kafan banti thi

khuld se fatema zehra ki sada aati thi

ya hussain...


ek taraf behta tha darya e furaat

ek taraf pyason pe mushkil thi hayaat

baad e shabbir aseeron ki ye raat

kaise guzri tan e sad paash ke saath

koi bhai ko koi roti thi beton ke liye

bekasi wo thi ke aansu na thay aankhon ke liye

ya hussain...


fatema zehra ye deti hai dua

ta qayamat rahe ye farshe aza

yuhin aati rahe matam ki sada

ho har ek lab pe hussaini nauha

hashr mein sheh ke azadaron se pursa loongi

mai azadaron ko jannat ki basharat doongi

ya hussain...


alwida laashe ghareebul ghuraba

alwida laashe jameel ul shohada

alwida be-kafan o be-watana

alwida aale ghareeb e zehra

zindagi hai to ye seene ye aansu haazir

warna maula hai hamara ye salaame aakhir

ya hussain...


karte hai sarwar o rehaan dua

hamse raazi ho janabe zehra

dil ki dhadkan mein hai matam ki sada

saare aalam mein biche farshe aza

nasl dar nasl ye matam ye azadaar rahe

panjetan kaar sada inke madadgaar rahe

ya hussain...