Kanz e Aza

Ya Sayyeda

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

ya sayyeda haye zaeefa fatema


ro kar pukari apne baba se hasnain ki zaeefa maa

subbat alayya masayebun lau annaha

subbat alal ayyami sirna layaliyaa


sayyeda fatema tahera sayyeda

ya sayyeda ya sayyeda


ay athara baras ki paak zaeefa bibi

zindagi hai teri masayib ka saheefa bibi

ya sayyeda...


is saari kayenaat mein zahra hi aisi maa hai

saaya fighan usi pe zakhmon ka aasman hai

todi gayi hai zulm se bibi ki phasliyan

rukhsar pe tamache ka bibi pe ek nishan hai

ya sayyeda...


dunya se jo ye baat hi kehti chali gayi hai

baba sitam ki mujhpe wo inteha hui hai

padte jo din pe raat sa tareek hota din

talwaar e gham kaleje par baba mere chali hai

ya sayyeda...


wo ghar jahan pe maut bhi ijazat talab hui hai

us dar ko aag aap ki ummat laga rahi hai

mohsin shaheed hogaya baba sitam hua

baba tumhari fatema chakra ke gir padi hai

ya sayyeda...


baad-e-wisaal-e-zahra bhi gham ka safar raha hai

uski misaal shaam hai kufa hai karbala hai

zahra ke bete betiyan khoon mein naha gaye

naize pe koi sar koi sar berida hua hai

ya sayyeda...


ye maa jab apne laal ke laashe pe aayi thi

aankhon se ashk lab pe bas ye duhaai thi

kehti thi mere laal ay mere tishnalab hussain

tu hi to mujh ghareeb ki saari kamayi thi

ya sayyeda...


is maa ne saath shaam ka paidal safar kiya hai

zainab ko raahe shaam mein wo hausla diya hai

ro kar pukari saath hai zainab ye teri maa

tu berida nahi hai ye zahra ka sar khula hai

ya sayyeda...


darbar e shaam mein gayi zainab jo berida thi

beti ke saath roti hui amma sayyeda thi

kehti thi teri aur meri taqdeer ek hai

tujhpar ghamon ki had hui mujhpar bhi inteha thi

ya sayyeda...


rehaan azmi ye hasnain ki jo maa hai

maqtal mein karbala ke karti hui fughan hai

bikhre hai baal dard se chehra nidhaal hai

gham se zaeef hogayi aankhon se khoon rawan hai

ya sayyeda...