na karbala na kufa na darbar e aam mein
zainab shaheed hogayi bazaar e shaam mein
bibi pe yun to shaam e ghariban se thi jafa
bazaar e shaam aaya to sar par na thi rida
naize se sar jo hazrate abbas ka gira
zainab shaheed hogayi bazaar e shaam mein
na karbala na kufa...
barsat patharon ki charagan ka char soo
pehle hi taaziyane baraste thay koo ba koo
behne laga jo aankh se sajjad ke lahoo
zainab shaheed hogayi baazar e shaam mein
na karbala na kufa...
zainab tarasti rehgayi aaram o chain ko
mauqa mila na majlis o matam ko bain ko
maanga tha jab kaneezi mein binte hussain ko
zainab shaheed hogayi baazar e shaam mein
na karbala na kufa...
bhai ka sar sina pe tha zulfein lahoo mein tar
noke sina pe aun o mohamed ke dekhe sar
chote se ek sar pe padi jis ghadi nazar
zainab shaheed hogayi baazar e shaam mein
na karbala na kufa...
akbar se karbala mein mulaqaat kab hui
naizo ke khaafile mein usay dhoondti rahi
bazaar e shaam mein jo nazar sar pe pad gayi
zainab shaheed hogayi baazar e shaam mein
na karbala na kufa...
baandha gaya sakina ko pushte shutar ke saath
wo tashnagi thi maa se bhi karti nahi thi baat
baalon talak sakina ke pahunche layeen ke haath
zainab shaheed hogayi baazar e shaam mein
na karbala na kufa...
bas saans chal rahi thi to zinda kahan rahi
talwaar jiske sar pe chali beridayi ki
kehti thi dekho par ye madine mein ab koi
zainab shaheed hogayi baazar e shaam mein
na karbala na kufa...
rehaan yun to phir sare kam ye taweel hai
ashkon ki meri aankh se jaari sabeel hai
bibi ka rauza shaam mein hona daleel hai
zainab shaheed hogayi baazar e shaam mein
na karbala na kufa...