Kanz e Aza

Zainabe bawafa alweda alweda

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Zainabe bawafa alvida alvida, Binte mushkil kusha alvida alvida.

Ap bhi hogayi'n belche se shaheed, Fidyaye kibriya alvida alvida.

Abede natawa'n kar rahe hain fugha'n, Aye phupi bawafa alvida alvida.

Kunba rota hai sab dekhiye uthke ab, Sar hai sabka khula alvida alvida.


Hoke hum se qafa sue darulbaqa, Kooch tumne kiya alvida alvida.

Hashr me aye phupi shakl dikhlaogi, Hoti ho ab juda alvida alvida.

Lash Zainab ki 'Baqer' uthate hai ab, Hai haram me sada alvida alvida...