zahra pa sitam ye kaisa hua
zainab ne ye poocha hyder se
kya maara hai zaalim ne baba
pehlu ko maa ke pathar se
ye haath pe kisne zulm kiya
batlaiye mujhko baba ali
durron se badi bedardi se
kunfuz ne maara tha beti
phir us din se allah ki qasam
tasbeeh hi na uthi maadar se
zahra pa sitam ye...
phir poocha bilak kar zainab ne
ye neel hai kaise shaano par
durron ke nishan hai ye beti
kehne lage hyder ye ro kar
phir choom ke beti ke baazu
roye hai lipat kar dukhtar se
zahra pa sitam ye...
baba ye zakhm jo hai sar par
ye kaise laga batlao mujhe
ye sun ke tadap ke kehne lage
ay beti bataun kaise tujhe
talwaar se zaalim ne maara
yun khoon bhi jaari hai sar se
sab zakhm to bhar hi gaye baba
pehlu se magar khoon hai jaari
jalta hua dar pehlu pe gira
sar peet ke ye kehte hai ali
phir durron se talwaron se
aur zakhm lage hai khanjar se
zahra pa sitam ye...
maa zahra ke chehre par ye
kaise hai nishan mere baba
moo phayr ke maara chehre par
hyder ne phir kuch bhi na kaha
baba ke aansu beti ne
phir ponche apni chadar se
zahra pa sitam ye...
maa ki mazloomi par zainab
hyder se lipat kar rone lagi
ye dekh ke roohe mohamed ne
dono to tasalliya kardi
nasir hai is pal aap mere
kehte hai ali paighambar se
zahra pa sitam ye...