Kanz e Aza

Zainab Sare Uryan

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Tauqeer Kamalvi. Lyrics in Roman Urdu.

zainab sare uryan hai abbas chale aao

makhdooma pareshan hai abbas chale aao


qayyam e hussaini ko afwaaj ne ghera hai

ghar lutne ka imkan hai abbas chale aao

zainab sare uryan hai...


shabbir ke laashe par jaane bhi nahi deta

pehre pe musalman hai abbas chale aao

zainab sare uryan hai...


main kaise bachaungi sajjad ko sholon se

aajao to ehsaan hai abbas chale aao

zainab sare uryan hai...


masooma ke durr cheene mere bhai ke qaatil ne

wo khoon may ghaltan hai abbas chale aao

zainab sare uryan hai...


mastooron ne haathon may pehni hai rasan ghazi

jaana suye zindan hai abbas chale aao

zainab sare uryan hai...


hota hai jahan matam aate hai wahan ghazi

tauqeer ka emaan hai abbas chale aao

zainab sare uryan hai...