Kanz e Aza

Aagayi Shame Ghariban

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Naved. Lyrics in Roman Urdu.

aagayi shaam e ghariban kahan jaaye zainab

hua sunsaan bayaban kahan jaaye zainab


sura e hamd ki tamheed jise thaame hai

ye wo daaman hai ke tauheed jise thaame hai

jal raha hai wohi daaman kahan jaaye zainab

aagayi shaam e ghariban...


aur hi rang tha jangal may jab aayi thi yahan

phool hi phool thay aanchal may jab aayi thi yahan

haye ab khaak badawan kahan jaaye zainab

aagayi shaam e ghariban...


sab se zainab ko jo pyara tha wo bhai na bacha

reh gayi aun o mohamed ko bhi wo kar ke fida

karne is dard ka darmaan kahan jaaye zainab

aagayi shaam e ghariban...


maangti hai wo qaza par na qaza aati hai

gar sakina ko bachaye to rida jaati hai

aise aalam may pareshan kahan jaaye zainab

aagayi shaam e ghariban...


khaak par girta hai koi koi ghash khaata hai

koi bacha kahin sholon may ghira jaata hai

ek hai sab ki nigehbaan kahan jaaye zainab

aagayi shaam e ghariban...


haye ye shaam e ghariban kahan le aayi naved

shaah ka sar rota hai zainab ki hai tanhaai naved

kehne ko haye pareshan kahan jaaye zainab

aagayi shaam e ghariban...