Kanz e Aza

Aap Agar Aa Jaate

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

aaye jab shaam e ghariban mein ali duldul sawar

jalti reti se uthi zehra ki beti bekharar

baap ke khadmon se lipti aur ye rokar kaha

aap agar aa jaate baba aap agar aa jaate baba

cheenta na shimr chadar aap agar aa jaate baba


aap agar aa jaate baba ghar nahi lut'ta mera

aap agar aa jaate baba sar pe reh jaati rida

aap agar aa jaate baba...


tashnagi aur bekasi se dil sabhi ke choor thay

mai bohat majboor thi darya se qaime door thay

aap agar aa jaate baba khushk na rehte ye saagar

aap agar aa jaate baba...


asr ka hangaam tha chalta tha khanjar bhai par

ro rahi thi karbala ki dhoop is tanhaai par

aap agar aa jaate baba qatl na hota baradar

aap agar aa jaate baba...


bekas o majboor hai sehra mein beti aap ki

hogayi tanha bhari dunya mein beti aap ki

aap agar aa jaate baba yun nahi lut'ta bhara ghar

aap agar aa jaate baba...


sogaye karbobala ke dasht mein tashna dahan

akbar o abbas o asghar qasim e ibne hassan

aap agar aa jaate baba daagh na sehti ye dil par

aap agar aa jaate baba...


ya bunaya ki sada sun kar sakina dasht mein

dhoondti phirti thi wo baba ka seena dasht mein

aap agar aa jaate baba dekh na paate wo manzar

aap agar aa jaate baba...


aap agar aa jaate to jalte nahi baba qayaam

ap agar aa jaate na mai dekhti ghurbat ki shaam

ap agar aa jaate baba khaak na hoti saron par


dekhti thi bano e dilgeer hasrat se mujhe

jis ghadi bali sakina ke gohar cheene gaye

aap agar aa jaate baba kaano se chinte na gohar

aap agar aa jaate baba...


ho sada rehaan o safdar ki sar e karbobala

haa usi ka shor dobara sar e zindan utha

aap agar aa jaate baba ghudkiyan khaati na dukhtar

aap agar aa jaate baba...