ay shaamiyon furaat ko laazim hai chodna
abbas hai jalaal mein rasta na rokna
sher e khuda ka sher hai salaar e fauj hai
is ke qadam ko choom ke darya ko auj hai
isko nazar mila ke na taa dayr dekhna
abbas hai jalaal mein...
hyder ki har sifaat ka aeena-daar hai
be-taygh apni zaat mein khuid zulfeqar hai
tum iske saamne kabhi ooncha na bolna
abbas hai jalaal mein...
jab chaahe cheen sakta hai tum se hayaat ko
ulte misaal e aas ki ye kayenaat ko
maidan mein isay dam e paikaar dekhna
abbas hai jalaal mein...
khath kyanch kar zameen pe lashkar ko rok de
chalte huwe ye maut ke khanjar ko rok de
aata hai isko waqt ke khyber ko todna
abbas hai jalaal mein...
chaahe to ek mashk mein darya utaar le
rukh suye qaimagah samandar ka mod de
aata hai isko sang se pani nichodna
abbas hai jalaal mein...
baazu qalam huwe bhi to ooncha rakha alam
darye se is jari ne hataye nahi qadam
aata nahi dilayr ko maidan chodna
abbas hai jalaal mein...
pyason ki aas zaamin e chadar hai ye jari
hai wakf e kayenat e wafa iski zindagi
is se kalaam karne se pehle ye sochna
abbas hai jalaal mein...
iske alam pe naad e ali ka hisaar hai
mashkeeza is alam pe wafaon ka haar hai
isko nigaah e saaqi e kausar se dekhna
abbas hai jalaal mein...
abbas ki raza hai raza e hussain se
rehaan hukme faatahe badr o hunain se
bekhauf hum ne seekha hai jumla ye bolna
abbas hai jalaal mein...