Kanz e Aza

Abbas Hussain hogaya tanha

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

sada ye bhai ko dete the hazrate shabbir

gale ko ched ke nikla jo teen bhaal ka teer

tadap ke reh gaya bachha hussain hogaya tanha

mai apne chaand se dilbar ko dafn karta hu


madad ko aao ke hazrat ke dafn karta hu

kaha'n ho ayr mere bhaiyya hussain hogaya tanha

tumhi ne auno mohammad ka mujhko pursa diya

uthaya sath me qasim ka qoo'n bhara laasha


ab aake dedo sahara hussain hogaya tanha

jawaan bete ki mayyat uthaa ke le aaya

mai us ke seene se seena laga ke le aaya

jawaan margaya mera hussain hogaya tanha


faras pe waris e badro hunain jhoomte hai

lagaao barchiya bhaale hussain jhoomte hai

ye has ke kehte the aada hussain hogaya tanha

koi hussain ko teer o tabar lagata hai


koi hussain ki ghurbat pe hasta jaata hai

koi hussain ko had se siwa rulata hai

koi hussain ko pathhar lagaate jata hai

koi hussain ke laashe ko khainch laata hai


lagaaya koi tamacha hussain hogaya tanha

tadapke zainab o kulsoom ba deeda e nam

hussain bole ke ab marne jaa rahe hai ham

nahi hai koi sahara hussain hogaya tanha