abbas ja rahe hai ridaon ki khair ho
behno ki khair betiyon maa'on ki khair ho
maangi hai wo jo bali sakina ne raat bhar
maango dua ke saari duaon ki khair ho
abbas ja rahe hai…
bachon ke lab pe ek sada al atash ki hai
pyase labon pe aayi sadaon ki khair ho
abbas ja rahe hai…
maatha jari ka choom ke zainab ne di dua
ay mere sher teri wafaon ki khair ho
abbas ja rahe hai…
zainab ka sayeban hai abbas e bawafa
ya rab batool zadi ki chaaon ki khair ho
abbas ja rahe hai…
abbas may tamam adayein ali ki hai
sher e khuda ki saari adaon ki khair ho
abbas ja rahe hai…
thandi hawa jab aayi hai kehti hai ye rabab
nehre furaat teri hawaon ki khair ho
abbas ja rahe hai…
ek pal may tune kar diye raushan kayi chiragh
bujhte charagh teri ziyaon ki khair ho
abbas ja rahe hai…
rab e jali se noor ali ki hai ye dua
ahle aza ki saari azaon ki khair ho
abbas ja rahe hai…