ay chacha mai tera sajjad hoo pehchaan mujhe
kha gaye haye sitam shaam ke zindan mujhe
ay chacha sunle ye pur dard kahani meri
dhal gayi ranj o alam sehte jawani meri
taziyano se sataya gaya har aan mujhe
ay chacha mai tera sajjad...
karz yun ajre risalat ka chukate thay layeen
kalma pad pad ke mujhe durre lagate thay layeen
yaad hai aaj bhi ummat ka ye ehsaan mujhe
ay chacha mai tera sajjad...
ay chacha shaam ki wo raahein ajab raahein thi
tees thi zakhmo may aur lab par mere aahein thi
jeena dushwaar tha aur marna tha aasan mujhe
ay chacha mai tera sajjad...
kabhi zindano se guzra kabhi darbaro se
dard sehte huwe guzra hoo mai bazaaron se
gaam dar gaam rulaate thay musalaman mujhe
ay chacha mai tera sajjad...
jinki hadh koi nahi aise alam dekhe hai
bhare bazaar may beparda haram dekhe hai
saikdon gham thay jo karte thay pareshan mujhe
ay chacha mai tera sajjad...
zulm ne loota hai jangal may bhara ghar mera
is tarha ujda hai maqtal may bhara ghar mera
bhari basti bhi nazar aati hai veraan mujhe
ay chacha mai tera sajjad...
mai lahoo rota tha wo zakhm lagate thay mujhe
shaami pani ki jagah pyaas pilaate thay mujhe
qaidkhano may rakha jaata tha mehman mujhe
ay chacha mai tera sajjad...
ay chacha ye bhi qayamat ki ghadi aayi hai
jalay kurte may behan qaid may dafnayi hai
sone deta nahi hamsheer ka ye dhyan mujhe
ay chacha mai tera sajjad...
nauha abid ka tha jab aaye watan noor ali
peet kar sar yehi karte thay sukhan noor ali
dafn karna pade khud haathon se armaan mujhe
ay chacha mai tera sajjad...