Kanz e Aza

Bariyan Pehne Huey Qafila Salaar Chala, Hy Beemar Chala

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Bariyan Pehne Huey Qafla Salaar Chala Hy Beemar Chala.


Arahi Hai Dar-o-Deewar Ronay Ki Sada, Hy Beemar Chala.


Hy Jalte Hai Zameen Aag Ugalti Hai Zameen

Koyi Saaya Bhi Nehi (x2)

Chalay Par Gaye Paron Mein Aur Badan Tapnay Laga, Hy Beemar Chala.


Chain Kia Hathon Pe Gardan Pe Paray Hain Chalay

Koyi Paani Dalay (x2)

Tapti Hai Tauq-o-salat Til Hai Garm Hawa, Hy Beemar Chala.


Kantay Chub Jatay Hain Chalay Kabhi Chil Jatay Hain

Hy Dukh Patay Hain (x2)

Paon Behrana Aur Yeh Aziyat Ka Safar Aur Yeh Jafa, Hy Beemar Chala.


Aaha Kartay Hain To Duron Saza Patay

Yun Tarap Jatay Hain (x2)

Hy Kis Haal Mein Hain Ibn Shahay Karbobala, Hy Beemar Chala.


Cheenkh Uthatay Hain Jab Lahu Se Behta Hai

Har Sitam Sehta Hai (x2)

Dukh Faryad Karay Bhai Na Baba Na Chacha, Hy Beemar Chala.


Dekh Kar Bete Ki Halat To Tarap Uthti Hai Maa

Yeh Bhi Hota Hai Guman (x2)

Aa Na Jaye Kahin Beemar Ko Rastay Mein Qaza, Hy Beemar Chala.


Sar Khulay Hain Mayein Hain Behnay Hain Sitamgaron

Hy Bazaron Mein (x2)

Sir Jhukaye Rotay Huey Haye Khuddar Chala, Hy Beemar Chala.


Hy Kis Haal Mein Sibt-e-payambar Safdar

Khaak Urao Gohar(x2)

Pheet Kar Seena-o -sir Bain Karo Ahl-e-Zza, Hy Beemar Chala.