kashtiye deene khuda ka na-khuda hussain
ya hussain ya hussain
hame na jaah o saltanat na taqt o taaj chahiye
baland tha jo taqt se magar mizaaj chahiye
shaheede karbala ka bas dilon pe raj chahiye
ya hussain ya hussain
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
zohair o muslim ibne ausaja shabeeb ki tarha
janabe hurr ke aur john ke naseeb ki tarha
hame ye faqr hai ke hazrate habeeb ki tarha
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
hai kaun apna chaara gar hussain hai hussain hai
hai kaun humse ba-khabar hussain hai hussain hai
hai kaun apna raahbar hussain hai hussain hai
hai kaun dil mein jalwagar hussain hai hussain hai
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
har ek simt dehr mein ya hussain ki nida
har ek qaum ki har ek deen ki bhi hai sada
kamaal to ye hai ke bud parast bhi ye bol utha
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
hamara chaara gar nahi koi hussain ke siwa
hamara ba-khabar nahi koi hussain ke siwa
hamara raahbar nahi koi hussain ke siwa
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
ye wo hussain hai mila hai jisko doshe mustufa
yehi waqaar e arsh hai yehi hai naaze kibriya
ana minal hussain kehke ye nabi ne keh diya
isi sabab se aaj hum bhi de rahe hai ye sada
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
hussain ko dilon mein tum bithalo ay hussainiyo
hussain ko nazar mein tum basalo ay hussainiyo
ye kehke apna dehr ko banalo ay hussainiyo
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
samaan se leke ta samak hussain hi hussain ho
zameen se aasman talak hussain hi hussain ho
jahan jahan falak falak hussain hi hussain ho
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
jahan pe gham hussain ka wahan pe bhi siyasatein
jahan pe gham hussain ka wahan pe bhi kadooratein
khuda ke waaste mita do dil ki ye ghalazatein
munafiqat ko chod kar payak zaban yehi kahein
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai
rahenge yaume hashr bhi wohi to log shadman
ghame hussain mein jo kar rahe hai naala o fughaan
ay majid apne paas aa na payega ghame jahan
hamara rishta hussain se hai
bas ek rishta hussain se hai