Kanz e Aza

Fatema Zehra ki

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ay mere laal hussain ay mere laal hussain


maqtal mein ye thi fatema zehra ki sada

lut'ti hai meri ran mein kameini baba


baba mera qasim hua ran mein pamaal

kya hoga bhala sochiye us maa ka haal

taqseem hua tukdon mein beta jiska

lut'ti hai meri ran...

maqtal mein ye thi...


jab aun o mohamed ke do laashe aaye

aansu dil e zainab ne nahi barsaye

laashon pe kiya shukr ka maa ne sajda

lut'ti hai meri ran...

maqtal mein ye thi...


jab seena e akbar pe lagi thi barchi

tab qaime se zainab bhi nikal aayi thi

tooti thi kamar sheh ne uthaya laasha

lut'ti hai meri ran...

maqtal mein ye thi...


asghar ko chala pani pilaane jo hussain

bacche ka gala teeron ke aaya ma-bain

baba ki tassali ko wo baysheer hasa

lut'ti hai meri ran...

maqtal mein ye thi...


jab zarbon se shabbir ka sar kaata gaya

nazdeek se zainab ne ye manzar dekha

us waqt mera ran mein yehi tha nauha

lut'ti hai meri ran...

maqtal mein ye thi...


ghar lut gaya zehra ka sar e karbobala

mukhtar isi waaste matam hai bapa

hai aaj bhi majid ye buka e zehra

lut'ti hai meri ran...

maqtal mein ye thi...