Yaha'n khud sar nigu'n Arshe Ula hai
Yahi to Sajdagaah e Ambia hai
Yaha'n ki khaak hiKhaake Shifa hai
Zameen e Karbala Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Bahaate hain Gham e Sheh me lahu ham
Sar e Mehshar rahenge surkh ru ham
Yunhi phailaaenge ab chaar su ham
Ye Maatam ki sada Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Ye wo Gham hai ke jis me zindagi hai
Isi Gham se nazar me roshni hai
Yehi Gham Muhtaram hai bandagi hai
Azaa-e Karbala Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Kahi'n milti nahi aisi bulandi
Jaha'n Majlis bapa hoti hai Sheh ki
Waha'n aati hai Zehra ki Sawaari
Mussala Ashk ka Allah 0 Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Namaz 0 Roza o Hajj sab aham hain
Ye Ehkaam e Khuda sab Muhtaram hain
Mussalo'n par jabeene'n sabki kham hain
Magar Farsh e Aza Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Khuda ka Ghar to Kaaba Bilyaqee'n hai
Jo yaa'n kham ho wohi roshan jabee'n hai
Badi Paakeeza Makke ki zamee'n hai
Magar Khaak e Shifa Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Bas ek shab me hua tabdeel manzar
Sehr Aashoor ki Hur Ka Muqaddar
Chala baatil se aaya raahe Haq par
Jab Akbar ne kaha Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Wafa Haq me She'aare Ambia hai
Magar kya Martaba Abbas ka hai
Faqat Us ko zamana keh raha hai
Wafaao'n ka Khuda Allah 0 Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Huwe jab qatl Zainab ke Dulaare
Wo Maa ka sabr duniya kaise bhoole
Junhi maqtal se Sheh ne laaye Laashe
Wo Sajda Shukr ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Hai rann me muntashir Qasim ka Laasha
UthaayLaash kaise Jaane Zehra
Magar ab kya karein thaam e kaleja
Bichhate hain aba Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Shahe Dee'n par hai kaisa waqt aaya
Ke khaak aur khoon me ghaltaa'n hai Beta
Tadapta hai jigar par kha ke naiza
Shabihe Mustafa Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Wo jhoole se Tera maqtal me aana
Guluwe khushk par wo teer khaana
Ali Asghar na bhoolega zamana
Tabbassum pyaas ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Katte Abbas ke jis waqt Shaane
Toh guzri Uspa kya Allah jaane
Tadap mehsoos karli Fatima ne
Nigaahe Maamta Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Badan se kat ke sar rakhte hain qudrat
Sar e naiza se Qura'n ki tilaawat
Hai zinda Jaan e Zehra ki badaolat
Azaano'n ki Sada Allah 0 Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Riza Khaliq ki banda chahta hai
Isi me bartari hai Jaanta hai
Magar Sheh se Khuda khud Poochhta hai
BataaaTeriRiza Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Kisi ko daolat e aulaad dedi
Kisi ko quwwat e parwaaz bakhshi
Na thi qismat me wo nemat ataa ki
Karam Shabbir ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Chala jab qaafila Karbobala se
Saje the raaste jor o jafa se
Na hota sabr mumkin Ambia se
Magar Zainul Aba Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Jhulasti dhoop aur Akbar ka Laasha
Ye manzar dekhti thi Umme Laila
Sina ki nok par Bete ka Sar tha
Wo Maa ka haosla Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Jise suraj ki kirno'n ne na dekha
Falak ne bhi na dekha jis ka saaya
Raha aawaaz par bhi jis ka parda
Wohi hai Berida Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Gale me tauq hai Zainul Aba ke
Hain chhaale paau'n me raaho'n me kaante
Wo zanjeere'n wo langar taaziaane
Safar wo dhoop ka Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Gham e Shabbir ki daolat mili hai
Azaadaro'n badi nemat mili hai
Kis aasaani se ye Jannat mili hai
Duaa e Fatima Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah o Akbar
Yateemi kamsini tashna dahaani
Tamaanche taaziyaane kaan zakhmi
Sakina Bibi ki thi zindagaani
Musalsal Marsia Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Jo Ashko'n ka Lahu ka silsila hai
Azadari ka ye jo Khafela hai
Saleeqa ye jo Majlis ka mila hai
Hai Zainab ki Ata Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar
Aza ke Ashk hain aankho'n ki Zeenat
Karenge ham Rasheed iski hifazat
Hai Gham Pyaaso'n ka is Dil ki Ibaadat
Muqaddar ki Ata Allah o Akbar
Gham e Karbobala Allah 0 Akbar