Kanz e Aza

GHAR FATIMA KA LUT GAYA

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rasheed Shaheedi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Maatam karo ahle Aza

Hai aasmano par buka

Karte hain Maatam Ambia

Hain sar barahna Mustafa


Ghar Fatima ka lut gaya


Zainab ke Wo Noor e Nazar

Jab chal base donon Pisar

Maa ka jigar Sajde me Sar

Rone lage Shaahe Huda


Ghar Fatima ka lut gaya


Tukde Hasan ke Laala ke

Maqtal me the bikhre huwe

Ab Laash ye kaise uthe

Sarwar bichhaate hain abaa


Ghar Fatima ka lut gaya


Kubra ki haay zindagi

Dulhan bani bewa huwi

Kya keh ke ro'e bekasi

Hamsin waha'n koi nahi


Ghar Fatima ka lut gaya


Laila ka aur Shabbir ka

Kadiyal Jawaa'n farzand tha

Barchchi se dil Uska chhida

Jalti zamee'n par Sogaya


Ghar Fatima ka lut gaya


Ummul Banee'n ka Wo Pisar

Be dast Ghaazi khoo'n me tar

Kaise gira Wo khaak par

Girya kuna'n hain Fatima


Ghar Fatima ka lut gaya


Sar Fatima ke Laal ka

Jab hogaya tann se juda

Deti rahi Zainab sada

Paamaal Laasha hogaya


Ghar Fatima ka lut gaya


Aage yunhi badhte raho

Maatam yunhi karte raho

Nauha yunhi padhte raho

Binte Ali Dengi Dua


Ghar Fatima ka lut gaya


Maatam karo Abbas ka

Tum ko milega ye sila

Aankho'n me rakho Karbala

Behte rahein Ashk e Aza


Ghar Fatima ka lut gaya


Parwaana e Shabbir ka

Abbas Tu hai Aasraa

Milti rahe unko sada

Bas Tere Parcham ki Hawa


Ghar Fatima ka lut gaya


Wo bekaso'n ka Karwa'n

Beemaar Abid Naatawa'n

Wo Taugq aur wo bediya'n

Wo taaziaano'n ki jafa


Ghar Fatima ka lut gaya


Be chaadari be chainiya'n

Mushkil kusha ki Betiya'n

Aur baazuo'n me reesma'n

Zanjeer me Zainul Aba


Ghar Fatima ka lut gaya


Abbas saqqaa'e Haram

Haq ka nasha'n Jis ka Alam

Jis ki wafa Dee'n ka bharam

BhaiWo Sheh ka Baawafa


Ghar Fatima ka lut gaya


Haatho'n pa apne Baap ke

Magtal ko Asghar jab gaye

Ahle Sitam rone lage

Wo teer kha kar hans pada


Ghar Fatima ka lut gaya


The muztarib rann me Hussain

Ro ro ke karte the ye bain

Kis tarha aaye dil ko chain

Maa se kahein ab jaake kya


Ghar Fatima ka lut gaya


Durre tamaache seliyaa'n

Mazloom Bachhi ki fughaa'n

Chheeni gayi hain baaliyaa'n

Kaano se khoo'n behta raha


Ghar Fatima ka lut gaya


Shabbir Aye Jaane Batool

Lafzon ko de qadmon ki Dhool

Nauha ye Tu karle Qubool

Ezaaz ye karde Ataa


Ghar Fatima ka lut gaya


Ab hain Rasheed ashkon ke bain

Aye Fatima ke Noor e Ain

De dil ko Chain ab Ya Hussain

Pohnchade hamko Karbala


Ghar Fatima ka lut gaya